Saturday, September 25, 2010

Aur ye aaj bhi mohbbat karti hai mujhse…

Apni sanson ki awaaz me sun sakta hun,
Dil jab dhadakta hai to uski halchal main sun sakta hun,
Apne sinne ko us pal main hilta dekh sakta hun,
Us pal ko main har tarah mehsoos kar sakta hun,

Aur usi pal ko nahi,
Zindagi ki har chotti badi baat,
Banti bigadti kahi,
Kuch uljhi suljhi chotti badi baat,

Jaise chhat pe ghumta pankhe ki awaaz,
Khidki khatkhtati hui,
Hawa me terti dhul ke andaaz,
Surya ki kirne laplapati hui,

Wo sadak pe sabziyaan bechta koi,
Log anganit takrate sambhalte,
Kisi se kuch kehta puchta koi,
Sab apni raah pe phir chal dete,

Kuch rukta nahi,
Waqt tertaa jaata hai,
Log puchte nahi,
Bas mera dil kehta jaata hai,

Ke main bhi hun,
Is bhidd me khada kahin,
Ke main bhi hun,
Tum mujhe dekhte kyu nahi,

Nazarandaaz kar rahe ho kyu mujhe,
Kyu mera kandhaa dabate chale,
Kyu nahi dekh paate tum mujhe,
Kyu ho sab ke sab manchale,

Ke main sab paa ke bhi,
Kyu andhura mehsoos karta hun,
Ke main muskura ke bhi,
Gam hi mehsoos karta hun,

Kyu sab ke saath ho ke bhi,
Har lamha khud ko tanha samjhta hun,
Kyu itni baar khud ko aazma ke bhi,
Nakamyaab khud ko samjhta hun,

Kyu itne jawaab sab ko de ke bhi,
Khud hi se sawaal karta hun,
Har ladai se door bhaag ke bhi,
Khud hi se main ladta hun,

Kyu apno se,
Aaj bhi kuch nahi keh sakta hun,
Kyu ajnabiyon se,
Zindagi baant sakta hun,

Kya main aaj bhi tanha hun,
Ya bas ye mohbbat hai meri tanhai se,
Ke aaj bhi main ise chodne se darta hun,
Aur ye aaj bhi mohbbat karti hai mujhse…

Love One Love All
Mohit Chopra
25th September 2010

This note in no way represents that I feel lonely in your presence, but rather that I am loved so much by loneliness that it’s just not letting me leave it…

1 comment:

Anonymous said...

r u so lonely....so is it that u can write the not so-happy notes the best???
But u have written it beautifully