Kyu phir aaj ye bekhudi,
Kyu phir aaj wahi nadaaniyaan,
Kyu kar rahe ho yun dillagi,
Ke ab to hai bhi nahi koi majburiyaan,
Kashmakash to pehle bhi bahut thi,
Jawaab milte nahi the bas sawalon ke,
Ladakpan tab bhi tu karti thi,
Nishaan ab bhi hai is dil pe, tere kadmon ke,
Ke rond ke chal di thi tu,
Bhula diya tha har haseen pal ko,
Ke mud ke bhi na dekhi thi tu,
Kis haal me choda hai mujhko,
Aaj phir paigaam tera aaya,
Is ishare ko main abhi tak samjh na paaya,
Achanak se phir tera khayal aaya,
Aur maine khud ko bahut samjhaya,
Ke naadani na kar ae bechain dil,
Ke vo phir khamosh ho jaayegi,
Ke kitna kamzor hai mera dil,
Use vo phir kuchal ke chali jaayegi,
Par sambhale na gaya mujse khud ko,
Aur ek paigam maine bhi bheja diya,
Andaaz tha jawaab ka mujhko,
Par unhone to sawal hi nazarandaz kar diya,
Ke aaj phir puchta hun wahi sawaal tumse,
Chahat kya hai tumhare betaab dil ki,
Nahi to puchta rahunga humesha khud se,
Kya wajah hai teri is berukhi ki…
Love One Love All
Mohit Chopra
20th June 2010
2 comments:
cant say anything on this.....
i really admire you.......
let go things n move on.....
i guess some1 should not hv come in the picture again..!!!
tc cr mohit..!!!
Post a Comment