Saturday, August 28, 2010

Baandhe rakhi thi umeedon ki ek dori...

Baandhe rakhi thi umeedon ki ek dori,
Nazuk the haath tab se,
Maalum na tha har khwaish ho jaayegi chori,
Khwab bhi lagenge laapata se,

Chahtein garm loo ki tarah ban jayengi,
Is baat ka hume ilm na tha,
Koshishen sirf koshishen reh jayengi,
Zindagi ne diya kabhi ye ishara na tha,

Har aandhi se lad jaane ke irade rakhe the,
Hawaein bhi muhn mod jaayengi, ye socha na tha,
Himmaton ke pul har nadi pe bana rakhe the,
Baraf ki tarah pigal jaayenge, ye socha na tha,

Lapata kuch chehre zehan me,
Kuch awaazen goonja karti hai,
Jaane hun kya main apne hoshon hawas me,
Meri rooh mujhse khud hi pucha karti hai,

Gumraah main nahi,
Har raah hi ho gayi hai,
Gumshuda main nahi,
Har pehchaan ho gayi hai,

Aaj bhi awaaz deta hun,
Meri shaksiyat ke sanatte me vo goonjti hai,
Aaj bhi kuch likh deta hun,
Bina panno ke wo bhi apna arth kho deti hai,

Ab haath mulayam to nahi,
Lankirein bhi kuch dhundli ho chuki hai,
Aankhon me wo chamak bhi nahi,
Ke aashayein ojhal jo ho chuki hai,

Har ghoont me gala sookh jaata hai,
Jaise pyaas andar abhi aur bhi bhari hai,
Har nazar me kuch dhundla nazar aata hai,
Jaise dekhno ko duniya aur bhi badi hai,

Batorta hun apne khoye iradon ko,
Ke guzaarni zindagi abhi kuch aur bhi hai,
Ek mauka aur deta hun apni talaashon ko,
Ke dhundni manzilein abhi kuch aur bhi hai…

Love One Love All
Mohit Chopra
29th Aug 2010
1:15- 1:27 am