Thursday, January 29, 2009

Ek darkhwaasth hai upar waale se...


kyu mujhe har pal,

har lamha teri yaad aati hai,

karvate badal badal,

neend intezaar karati hai,


har subah ek sazaa,

har safar anjaana,

khud se hun khafaa,

tujhe kyu maine jaana,


ab to khud ko dur kar liya hai,

phir kyu tera saaya chu jaata hai,

ab to teri bewafai ko bhi maan liya hai,

phir kyu tera khudgarz hona yaad aata hai,


guzarish hai us upar waale se,

ki ab to mujhe baksh de,

maana bahut khatayen hui hai mujse,

rutha hai vo kab se,


par mauka to de mujhe,

ke main bhi ubhar sakun,

ke main puchta hun tujhse,

main bhi to tera hi banda hun,


tere rehmo karam ka shukrguzar hun,

ke tu hi mera malik hai,

main to bas tera ek auzaar hun,

jo is khel me shaamil hai,


ab to rang bhar khushi ke,

arsa ho gaya zindagi jiye,

na mauthaaj rahun main kisi ke,

jiyun to bas apne liye...


May God Bless You..
Love One Love All
Mohit Chopra
29th Jan 2009

Monday, January 26, 2009

Save Fuel Save Money

Well one of my friend gave me a topic and asked me to write a poem on it...
So this is wat i wrote...

I live in an age,
Where I see everything getting automated,
I see the rage,
When everyone’s breath is bated,

As they foresee their demise,
As money no more suffices,
The world is full of cries,
Like life’s a game of dices,

The sooner we act,
The better we’ll be,
Lets sign this pact,
As it is the key,

Let’s consume less of fuel,
And the coming days will be sunny,
Let’s make it our main goal,
Save Fuel Save Money…

May God Bless You…

Love One Love All…

Mohit Chopra

26th January 2009

Sunday, January 18, 2009

Muskurata to hun... par....

Naino me athru nahi,
Khwab saare dhundle ho gaye,
Labon pe tera naam nahi,
Jaise tujhe pukarna hi bhool gaye,

Teri tasvir bhi dekhte nahi,
Kaisi dikhti thi tu,
Tere didar ki aas bhi nahi,
Yun ojhal ho gayi tu,

Yaad hai to bas lamhe,
Lamhe kuch takrar ke,
Jinme hum dekhte the tumhe,
Lamhe vo kuch pyaar ke,

Aks hi tera ab saath mere,
Pehchaan bhi kho gayi hai,
Shayad hua ye intezaar me tere,
Zindagi hi rus gayi hai,

Sab lagta hai viraana sa,
Jag suna sa ho gaya,
Tu hi to tha apna sa,
Tu bhi begaana ho gaya,

Kisi ko chahne me,
Waqt lagta hia mujhe,
Usko phir bhulane me,
Dard hota hai mujhe,

Chupa leta hun sab,
Muskurahat ke piche main,
Bardasht nahi hota ab,
Ke teri zindagi me kuch bhi nahi main,

Tere khayalon me bhi kya main aata nahi,
Kya kuch bhi nahi tha main tere liye,
Kya kabhi mera chehra teri Nakhon se takrata nahi,
Kya main hi deewana tha tere liye,

Din bhi hote hai,
Raat bhi aati hai,
Par na hum sote hai,
Na neend aati hai,


Yun to pehle na tha main,
Kya iska bhi ilm nahi tujhe,
Kyu guzarish kar raha hun main,
Ki tu bula le mujhe,

Jab main jaanta hun,
Ke wafa tu kar sakti nahi,
Haan main maanta hun,
Ki mohbbat tune mujse ki nahi,

Aur bahut si baatein reh gayi ankahi,
Par dosti me bhi kuch had tak pyaar hota hai,
Zindagi bhar ka saath na sahi,
Waktiya hi, kisi ki khushi ka khyala hota hai,

Tujhe sab hai pata,
Fir bhi kuch kehti nahi,
Kya thi meri khata,
Jo yun teri aankhen mud gayi,

Jaise main bhid me khada,
Koi anjaana hun,
Mujhe kyu di ye sazaa,
Ye khud se puchta hun,

Kyu kisi aur ki tarah mujhe samjh kar,
Har lamha mera imtehaan liya?
Kyu nahi tune mujhe samjh kar,
Meri baaton ka jawaab diya?

Shayad kismat thi ye meri,
Ke tu mujhe na samjh saki,
Ya kismat thi teri,
Lauta di tune mujhe kisi aur ke hisse ki berukhi,

Jo bhi ho,
Sawaal to rahenge,
Kahin to,
Hum intezaar karenge,

Na aayegi tu,
Ye pata hia mujhe,
Chali jayegi tu,
Na rokunga tujhe,


Par barso baad kabhi yaad karegi,
Agar mujhe tu,
To tujhe shayad sachai dikhegi,
Par kho chuki hogi tu,

Main bhi jaane kis manzar pe honga,
Jaane kya khalish hogi tab man me,
Par tujhe to humesha yaad rakhunga,
Shayad dil ke kisi andhere kone me,

Alvida kehna sikh raha hun,
Berukhi zindagi se kar raha hun,
Nahi ab tujhe pukar raha hun,
Ab bas khud se hi sawaal kar raha hun...

May God Bless You...

Love One Love All…

Mohit Chopra

15 January 2009

Thursday, January 15, 2009

I am still the same...


I am still the same,
Looking for a reason,
Bit crude, a bit inane,
Bitten by treason,

Acting lame,
Making the same mistakes,
Hard to tame,
Blind to what the world fakes,

Caught in the same memoirs,
Looking for a way back,
As if my mind never tires
Is it just you who I lack?

In love I am still naïve,
I couldn’t learn,
Maybe that’s why I still crave,
And my eyes burn,

Never blinking,
Waiting for you,
Heart’s sinking,
Having no clue,

If you even remember,
Of the times I cherish,
What you did render,
Or was I just too mulish,

But still I gave so much,
More than I could,
Waiting for that pristine touch,
I thought you would,

But it has been so many days,
You didn’t even look back,
Were we just about the frays?
It’s more than love that we lack,

I wonder why you don’t see that I still the same,
As I was when we first met,
You have just stopped looking beyond the pane,
In callousness you have become deft…

May God Bless You
Love One Love All

Mohit Chopra

15 January 2009