Sunday, January 18, 2009

Muskurata to hun... par....

Naino me athru nahi,
Khwab saare dhundle ho gaye,
Labon pe tera naam nahi,
Jaise tujhe pukarna hi bhool gaye,

Teri tasvir bhi dekhte nahi,
Kaisi dikhti thi tu,
Tere didar ki aas bhi nahi,
Yun ojhal ho gayi tu,

Yaad hai to bas lamhe,
Lamhe kuch takrar ke,
Jinme hum dekhte the tumhe,
Lamhe vo kuch pyaar ke,

Aks hi tera ab saath mere,
Pehchaan bhi kho gayi hai,
Shayad hua ye intezaar me tere,
Zindagi hi rus gayi hai,

Sab lagta hai viraana sa,
Jag suna sa ho gaya,
Tu hi to tha apna sa,
Tu bhi begaana ho gaya,

Kisi ko chahne me,
Waqt lagta hia mujhe,
Usko phir bhulane me,
Dard hota hai mujhe,

Chupa leta hun sab,
Muskurahat ke piche main,
Bardasht nahi hota ab,
Ke teri zindagi me kuch bhi nahi main,

Tere khayalon me bhi kya main aata nahi,
Kya kuch bhi nahi tha main tere liye,
Kya kabhi mera chehra teri Nakhon se takrata nahi,
Kya main hi deewana tha tere liye,

Din bhi hote hai,
Raat bhi aati hai,
Par na hum sote hai,
Na neend aati hai,


Yun to pehle na tha main,
Kya iska bhi ilm nahi tujhe,
Kyu guzarish kar raha hun main,
Ki tu bula le mujhe,

Jab main jaanta hun,
Ke wafa tu kar sakti nahi,
Haan main maanta hun,
Ki mohbbat tune mujse ki nahi,

Aur bahut si baatein reh gayi ankahi,
Par dosti me bhi kuch had tak pyaar hota hai,
Zindagi bhar ka saath na sahi,
Waktiya hi, kisi ki khushi ka khyala hota hai,

Tujhe sab hai pata,
Fir bhi kuch kehti nahi,
Kya thi meri khata,
Jo yun teri aankhen mud gayi,

Jaise main bhid me khada,
Koi anjaana hun,
Mujhe kyu di ye sazaa,
Ye khud se puchta hun,

Kyu kisi aur ki tarah mujhe samjh kar,
Har lamha mera imtehaan liya?
Kyu nahi tune mujhe samjh kar,
Meri baaton ka jawaab diya?

Shayad kismat thi ye meri,
Ke tu mujhe na samjh saki,
Ya kismat thi teri,
Lauta di tune mujhe kisi aur ke hisse ki berukhi,

Jo bhi ho,
Sawaal to rahenge,
Kahin to,
Hum intezaar karenge,

Na aayegi tu,
Ye pata hia mujhe,
Chali jayegi tu,
Na rokunga tujhe,


Par barso baad kabhi yaad karegi,
Agar mujhe tu,
To tujhe shayad sachai dikhegi,
Par kho chuki hogi tu,

Main bhi jaane kis manzar pe honga,
Jaane kya khalish hogi tab man me,
Par tujhe to humesha yaad rakhunga,
Shayad dil ke kisi andhere kone me,

Alvida kehna sikh raha hun,
Berukhi zindagi se kar raha hun,
Nahi ab tujhe pukar raha hun,
Ab bas khud se hi sawaal kar raha hun...

May God Bless You...

Love One Love All…

Mohit Chopra

15 January 2009

6 comments:

Gargi said...

awesum
such intensity
so complicated word play
bear with me ye to bas me mohit k kehne pe likh rahi hun
but then
the point about intensity is true....
never before seen such!
ek jo kami hai wo ye k jiske liye likhi hai usne nahi padi ye......
so over all on a scale of ten i give you mmmmmm
hmmmm
may be 8!

Nakshatra said...

bikhar jaane do pyaar ko pyaar bankar zamaane main
ek phool jo kisine khilayaa tha hamare liyeee
uske pyaar main ek baag bana do bahar ka...
jo kabhi galti se koi laut aaye us phool ki talaash main
ek bahaar ko intezaar kartaa paayeee!!!!

Mohit Sureka said...

dudee.... m damn impressed !!! wat depth in thgt n gr8 use of words... seriously, m a fan !!!

i think its the name mohit - ki poems n shayaris ka kida hota hai !!! :D

Anonymous said...

lovely stuff!......i can almost hear ur heart break!

Anonymous said...

Hey, I am checking this blog using the phone and this appears to be kind of odd. Thought you'd wish to know. This is a great write-up nevertheless, did not mess that up.

- David

Mohit said...

Hey thanks David, 2 year old post... have almost forgotten what all I have written over the years...
feels good to be appreciated though :)