Thursday, November 27, 2008

Leave out all the rest...by Linking Park from Minutes to Midnight

I jst luv this song... it articulates my feelings to perfection....
Enjoi...

I dreamed I was missing, you were so scared
But no one would listen, 'cause no one else cared
After my dreaming, I woke with this fear
What am I leaving when I'm done here?
So if you're asking me, I want you to know

When my time comes, forget the wrong that I've done
Help me leave behind some reasons to be missed
Don't resent me, and when you're feeling empty
Keep me in your memory, leave out all the rest
Leave out all the rest,
don't be afraid I've taken my beating,
I've shared what I made
I'm strong on the surface, not all the way through
I've never been perfect, but neither have you
So if you're asking me, I want you to know
When my time comes, forget the wrong that I've done
Help me leave behind some reasons to be missed
Don't resent me,
and when you're feeling empty Keep me in your memory,
leave out all the rest
Leave out all the rest
Forgetting all the hurt inside you've learned to hide so well
Pretending someone else can come and save me from myself
I can't be who you are
When my time comes, forget the wrong that I've done
Help me leave behind some reasons to be missed Don't resent me,
and when you're feeling empty Keep me in your memory,
leave out all the rest
Leave out all the rest
Forgetting all the hurt inside you've learned to hide so well
Pretending someone else can come and save me from myself
I can't be who you are
I can't be who you are

Friday, November 21, 2008

Jiyunga jaise main chahunga...


ye boond nahi,

paani chalak raha hai,

ye awaaz nahi,

ke shor lag raha hai,


aage bad na sake,

koi piche bula raha hai,

aaj hum hai ruke,

aur jahan aage ja raha hai,


aag nahi hai,

ye tapish hai kisi ki,

hawa nahi hai,

chuhan hai tanhai ki,


guzarish hai sapno ki,

isliye aankhen band karte hai,

par aahat nahi sunte kisi ki,

aur ye neend bhi jaane kaha hai,


bol nahi labon par,

par har lamha kuch keh raha hai,

k bas ab intezaar kar,

koi aane ki tayari kar raha hai,


to aao,

aur aazma lo tum bhi,

azmaao,

ke kho jaoge tum bhi,


reh jaunga,

main akela fir kal,

keh jaunga,

ke tu bhi jaayega badal,


rehna hai jab saath apne hi,

to kya zarurat hai kisi ki,

jab tutne hai sapne bhi,

to kyu na ji lun main zindagi...


Saturday, November 15, 2008

Ye mere ant ka ikraar hai...


aakrosh k aagosh me,
khamosh se hum ho gaye,
khrodh k parivesh me,
hosh bhi humare ud gaye,

jo tha nahi,
vo saath dikhta tha,
jo tha sahi,
vo galat lagta tha,

veham me isi,
hum jite rahe,
khwab me kisi,
hum bas gaye,

ab ujad gaya vo aashiyana,
bikhar gaya hai sab,
zindagi chahti hai mujhe azamaana,
jaane ant hoga mera kab?

ke koi nahi hai,
bas main hi khud ka dushman,
ke sab sahi hai,
bas mere hi man me hai uljhan,

k kamzor hun main,
aaj bhi tera hi kyun khayal hai,
k bewafaa hun main,
kyu nahi mujhe khud se pyaar hai?

na dost ka daga,
na kisi ki berukhi,
na rehmat na dua,
na rahi ye zindagi,

k ab main saanse le raha hun,
par ginta nahi unhe,
k jaise ji to main raha hun,
aur maar raha hun tumhe,

khyalon k is bhavandar me,
ek saaya mandraata hai,
har pal vo mujhi me,
mujhe hi kho jaata hai,

is kashti ko saahil nahin,
samundar hi se pyaar hai,
dekhna doob jaye jo kahin,
to yahi iske ant ka ikraar hai...

Thursday, November 6, 2008

A "Happy" Poem at last

Khushgavar ye sama hai,
Ke khush hai mera dil bhi aaj,
Jaane mujhko kya hua hai,
Kin khayalon me duba hun main aaj,

Ke ye dhup bhi sehla rahi hai,
Aankhon ko roshan kar rahi hai,
Ke hawa bhi behla rahi hai,
Jaise tu apni aur bula rahi hai,

Khoya hun jaise tere hi soch me,
Muskura raha hun bethe bethe,
Duba hua tere khayalon ke aagosh me,
Ruk jaata hun kuch kehte kehte,

Ke har alfaaz me,
Tera hi naam sun na chahta hun,
Ke har nazaare me,
Tujhe hi bas dekhna chahta hun,

Na mila hun tujse,
Na pata hai tera koi,
Na puch tu mujse,
Ke jawaab nahi mere paas koi,

Ke bas intezaar hai,
Tere dedaar ka,
Ke bas intezaar hai,
Apne pyaar ka,

Jaane kyu has deta hun main,
Bina kisi k kuch kahe,
Shayad sun leta hun main,
Tere alfaaz ankahe,

Ke tu bhi gar bharosa kare,
To mil jaaye mujhe bhi zindagi,
Chal de tu saath mere,
Nahi hai ye koi dillagi…

Tuesday, November 4, 2008

Wo jo chale gaye...


Har lamhe se darkhwast yahi hai,
Ki tera saath de de mujhe,
Har pal se dhadkan puch rahi hai,
Ki kyu nahi yaad main tujhe,

Ke saason ki awaaz ab sunai dene lagi hai,
Raahein zindagi ki kaaton se bhari hai,
Ke ab aankhen bhi thak rahi hai,
Raah ye jaane kis ajnabee ki dekh rahi hai,

Kya chaha tha maine,
Aur kis path pe chal diya,
Kya kiya ye tune,
Mujhe hi begaana kar diya,

Ab tujse bhi kya shikayat karun,
Ke mohlat itni waqt ne di hi nahi,
Ab shikve bhi kya kisi se kahun,
Jab tune bhi mujhe samjha hi nahi,

Rooth gaya hun khud se,
Ya tune rulaa diya,
Ab bas ye hi puch raha hun khud se,
Ki kis baat ka ye silaa diya,

Shayad in sawalon me hi kho jaunga,
Aur reh jaunga main akela,
Tujhe na sahi, khud ko hi bhool jaunga,
Kaisa khel khela maine ye albela…

Saturday, November 1, 2008

Koi Ho...


koi ho jisko yaad kar sakun,
aur keh sakun,haan teri yaad aayi hai,
koi ho jis se puch sakun,
kyun tujhe meri yaad nahi aayi hai,

ke muskura deta hun,
bhula deta hun,
apne pagalpan ko,
zindagi maan leta hun,

ke koi puchta nahin,
aur main bata nahi paata,
ke koi yaad nahi karta,

aur main kuch bhula nahi paata...