Tuesday, November 4, 2008

Wo jo chale gaye...


Har lamhe se darkhwast yahi hai,
Ki tera saath de de mujhe,
Har pal se dhadkan puch rahi hai,
Ki kyu nahi yaad main tujhe,

Ke saason ki awaaz ab sunai dene lagi hai,
Raahein zindagi ki kaaton se bhari hai,
Ke ab aankhen bhi thak rahi hai,
Raah ye jaane kis ajnabee ki dekh rahi hai,

Kya chaha tha maine,
Aur kis path pe chal diya,
Kya kiya ye tune,
Mujhe hi begaana kar diya,

Ab tujse bhi kya shikayat karun,
Ke mohlat itni waqt ne di hi nahi,
Ab shikve bhi kya kisi se kahun,
Jab tune bhi mujhe samjha hi nahi,

Rooth gaya hun khud se,
Ya tune rulaa diya,
Ab bas ye hi puch raha hun khud se,
Ki kis baat ka ye silaa diya,

Shayad in sawalon me hi kho jaunga,
Aur reh jaunga main akela,
Tujhe na sahi, khud ko hi bhool jaunga,
Kaisa khel khela maine ye albela…

3 comments:

Anonymous said...

first of all things ..kewl pics man ... and secondly ..well u kno wats cumin up lol.. its superb .. u kno wat i realised ..ur poems do not have gr8 ideas abt wrld luv etc etc ... dey r simple and so pure and so right .. u put together worlds jst in a perfect way and it seems to right to be true ..ur every wrd seems made for your poem and so perfectly put... maybe thats y its nt jst u but everyone else can connect to it ..
gud goin dude.
god bless

Anonymous said...

100 gum hai iss duniya mein,
par tere gum mein hi kyu,
ye mithas hai,
kuch na keh kar bhi,
har shabd mein wahi ehsaas hai.....

is mann ko bhi shayad,
inhi shabdo ki trishna thi...

Mohit said...

who this anonymous ji????