Thursday, February 5, 2009

Shayar nahi main to ek diwana hun...

shayar nahi main to bas ek diwana hun,
firta hun jaane kin galiyon me,
jaane kin khwabon me kho jaata hun,
puchta hun jaane kis se,
aur sawaal bhul jaata hun,
ruth jaata hun khud se,
ya tere intezaar me shayar ban jaata hun,
ke mohbbat karegi kya tu bhi mujse,
is soch me doob jaata hun,
fir keh deta hun khud se,
shayar nahi main to ek diwana hun...