Thursday, February 11, 2016

Parindey

Udte hue parindey kya azaad hote hai,
Ya wo bhi apne khayalo ke mauhtaaj hote hai,
Zindagi ki zaruratein poori karte rehte hai,
Udaan to bharte hai par ek dayre me bandhe rehte hai,

Gharaunda jo baanaaya hai,
Us se dur kaise jaayen,
Anjaan aasmaan jo apnaya hai,
Use bhool kaise jaayen,

Kya parindey bhi soch ke bandhi hote hai,
Ya apni raah khud chun-ne waale manmauji hote hai,
Pankh faila kar bekauf lagte hai,
Hawa ke rukh ke saath par manzilein badalte rehte hai,

Ye parindey hai ya khayal mere,
Koi bandish nahi jinhe mere zehan me,
Par kho jaate hai jab aate hai raste andhere,
Toot jaate hai ye sawaalon ki leher se,

Chech-a-ahat ho parindo ki,
Ya ho mere khayalon ka shor,
Kaid me hai dono zindagi ki,
Na jaane bad rahe hai kis aur…

Love One Love All
Mohit Chopra

No comments: