Friday, October 31, 2008

Kya kahun main...?

kya kahun main,
ke alfazon ko chehra nahi milta,
kya likhun main,
ke shabdon ko main dhaal nahi sakta,

teri muskurahat,
ya yun kaho ye adaa,
teri har aahat,
na ho zindagi kabhi khafaa,

ke yun to dur bahut hain tujhse hum,
par jaana pehcana sa ek ehsaas hota hai,
ke didar ke mauke bhi hai kum,
par har pal tere saath ka intezaar rehta hai...

2 comments:

Anonymous said...

as always bahut achcha likha hai....
isse zyada kabhi main kuch keh nhi pati...

Enigma said...

beautiful lines :)