Friday, August 14, 2009

Ke ab main...

ke ab main aatish ki tarah hun,
ke ab main dil me lagi jalan ki tarah hun,
ke ab main baarish ki tarah hun,
ke ab main dil pe lage marham ki tarah hun,

ke ab main ek aansu ki tarah hun,
ke ab main mazboot kaandhe ki tarah hun,
ke ab main mehkti sason ki tarah hun,
ke ab main sab hun par khud nahi hun...

1 comment:

Anonymous said...

Bahut khoobsurat..loved it..each and every line-sheer beauty! Cheers..btw this MahakDewan

:) blogrolling you