Sunday, May 16, 2010

yun hi kuch likdh diya tha arso pehle, aaj phir pad ke ehsaas jaag uthe...

Kyu kisi k intezaar me,
Har lamha jine ko man karta hai,
Kyu kisi k pyaar me,
Khud ko bhula jaane ko man karta hai,

Kyu kisi k liye,
Sab kuch bhula dete hai hum,
Kyu mere liye,
Kuch bhula nahi sakte tum,

K kyu main yu chahu,
Aur kya main keh jaaun,
K kya tum ab chaho,
Kya main kar jauun,

Baat ab ye nahi,
K tum mujse pyaar nahi karte,
Baat ab ye bhi nahi,
K tum mera intezaar nahi karte,

Baat ab ye hai ki,
hum chah kar bhi nahi milte,
baat ye hai ki,
alag ho gaye hai humare raste,

k ab kya hai kar sakte,
k shayad bahut dur hum nikal aaye hai,
k ab kya tumhare bina hai hum ji sakte,
ya hum tumhare hi ho gaye hai,

par tumhari tamanaon me hum shaamil nahi,
shayad tumhe khush rakh pane k hum kaabil nahi,
k shayad humari koi bhi koshish mukamal nahi,
k shaayd is samundar ka koi saahil nahi,

ab to yahi darkhwast hai tumse,
k mujhe dur na karo mujhi se,
k aaj main ye puchne pe majbur hu khudse,
k aisi bhi kya khaata hui mujhi se…

6 comments:

Anonymous said...

brought tears to my eyes...please take care...

Mohit said...
This comment has been removed by the author.
Mohit said...

and i don't even know who's so sensitive about my writing...

pls don't be anonymous and tell me who u r...

Unknown said...
This comment has been removed by the author.
Anonymous said...

take care mohit......!! please..!!

Anonymous said...

Why u always write all poems in sad mood?? R u brother of Pankaj "Udas"?